Pages

Friday, July 19, 2013

Tulsi Hamare Gaav ki

Tusli Hamare Gaav ki

Ek chota sa gaav tha, jis me kuch bhi nahi tha sivay ek chotisi school. Nahi pakke ghar the naahi hospitals, naahi pakki sadake. kuch bhi nhi tha. Isi chote se gaav me ek din ek ladaki ka janam hua, uska naam "Tulsi" rakha gaya. jab vo badi hui to school jane lagi. tabhi vaha bacche use chidane lage "tulsi hamare gaav ki tulsi hamare gaav ki" . vo jaha bhi jati thi vaha sabhi use ese hi chidate the. Ekdin vo bahut pareshan hui or usne ghar aake uski maa or papa se pucha sab bachhe muje ese kyu chidaate he..? me apne is naam se bahut hi pareshan ho chuki hu. uske maa or papa ne use bahut pyaar se samjaya or manaya lekin vo to kuch samjana hi nahi chahti thi, thodi der manaane ke baad uske maa papa thak gaye or uske papa ne bola jab tum badi ho jaaogi tab tum khud hi samaj jaaogi.

Tulsi padhaai me sab se aage thi. School me sabhi bachho ko usne piche hi chod diya tha. uske sabhi teachers bhi use yahi bolte the, "Tulsi hamare gaav ki", sabhi ko Tulsi pe bahut naaz tha pyar tha or badi ummide thi.

Ab yahi dekhna tha ki kya Tulsi un sabhi ummido pe khadi ho payegi..?? sach me kya vo gaav ka naam roshan kar payegi..? sachhi me kya vo is gaav ki tulsi kehlayegi??

Gaav bahut hi chota sa tha, vaha sabhi ki aaamdani bahut hi kam thi isliye koi apne bachhe ko jyada padha nahi sakte the. Aur is vajah se gaav me sabhi bachhe saatvi tak hi padhne ke baad apne apne maa baap ke kaam me hath bataane lagte the. lekin Tulsi ke papa ne Tulsi ke liye kuch or hi sapna sajaye rakhe the. Vo apni beti ko bahut hi padha na chahte the. Vo sachhi me sab ke muh se ye sunna chahte the "Tulsi hamare gaav ki". Tulsi ke papa ne soch liye ki vo Tulsi ko bahut hi aage tak padhayenge taki Tulsi apna or apne gaav ka naam roshan kar sake. Sabhi gaav valo ko uspe naaz ho.

Ek din Tulsi ke papa uske school gaye, Vaha master ko ap ne dil ki saari baat batayi. Master ki bhi ichha thi ki Tulsi bahut aage tak padhe kyuki Tulsi bahut hu hoshiyaar thi. Isliye un sab ne milke socha ki ye baat gaav ke sarpanch ko bataye or kese bhi karke Tulsi ko aage badhaaye. Tulsi ke papa or School ke sab teachers Sarpanch ke ghar pahuche or sari baate bataayi.Sarpanch ko bhi baaat sahi lagi kyuki gaav ki unnati ka bhi saval tha. Vo bhi chahte the ki uske gaav ki tarakki ho.

Ek din sarpanch ne gaav me panchaayat bulaayi or sab ko ekathha kiya or kaha ki hamare gaav ke bhale ke liye or gaav ki tarakki ke liye kuch socha he. ham sabhi Tulsi ko bahut hi padhana chahte he lekin uski aamdaani bahut hi kam he to ham sab ne ye socha he ki aap mese jo bhi use aage dekhna chahata he vo apne se ho sake utna yogdaan de taaaki ham Tulsi ko padha sake or aage badha sake taki vo badi hokar apne gaav ki tarakki ke liye kuch kar sake. 

sabhi gaav valo ko sarpanch ki baat sahi lagi, sabhi ne milke bola ki aapki baat sahi he Tulsi hamare gaav ki beti he ham sabhi use aage badhane me pura sath denge. Uske baad jisase jitna ho sakta tha utna yogdan dene ki koshish ki, isse Tulsi ke papa ko badi rahat hui. Usne Tulsi ko Shaher le jaake padhaane ki sochi. Ek achhi si school me uska admission karvaya aur uske rehne ki vyavastha bhi karvaai. Tulsi padhai me pehle se hi bahut aage thi vese hi vo shaher ake or aage badhti gai. shaher ki school me ab to sabhi teachers ko bhi yahi lagta tha ki Tulsi sachhi me hamare school ka naam bhi roshan kregi. Ek din Principal ne Tulsi ko bulaya or usase uske gaav or ghar ke bare me puch taach ki. uske baad principal ko malum hua ki ye Tulsi ek chotese gaav se aai he aur uske ghar ki gaav ki halat bahut hi naajuk he aur isi vajah se usne fir Tulsi ki madad karne ki sochi.

tulsi hamare gaav ki


Ek din school me annual day ka function tha. Shaher ke sabhi bade bade logo ko vaha bulaya gaya tha, school ke trustee bhi vaha the. Isi function me Tulsi ko best student of the year ka award mila uski vajah se vo aur uske papa bahut hi khush the. Baad me mauka milte hi Tulsi ke principal ne stage pe jaake Tulsi ke baare me baat ki aur sath hi Tulsi ke parivar ki or gaav ke bare me bhi baat ki. Ye sari baate sunane ke baad trustee ne socha ki Tusli se ek baar baat kare. Usne stage pe Tulsi ko bulaya or aur pucha ki vo kya chahti he..?? Trustee use puri tarah se madad krna chahte the. Thodi der sochne ke baad Tulsi ne sabhi ke samne apne dil ki baaat or apni choti si khwaaish rakhi. Tulsi chahti thi ki uske gaav ka sabhi bachha padh likh ke aage badhe or shaan se ek achhi jindagi ji sake. vaha bethe sabhi ki aakho me asu aa gaye ek choti si bachhi ke itne achhe or nek vicharo ko dekh ke sabhi ka man pigal gaya.

Thodi der baad trustee us gaav ke sabhi bachho ko bina kisi bhi tarah ke paise liye muft me apni school me padhaane ka aadesh diya aur sath hi un sabhi bachho ka jo bhi kharcha hoga vo sabhi trustee khud hi bhar denge. ye dekhkar sabhi upasthit logo ka dil pighla or un sabhi ne us gaav ki puri tarah se sahayata krne ki koshish ki.

Aaj Tulsi ke karan uske gaav ki tarakki hui. uske gaav me bijali aai, school bana, hospital bani, achhi sadake bani, sabhi ko rehne ke liye pakke ghar mile, sab kuch Tulsi ke karan hua.

Aaj bhi gaav ke sabhi log bade pyaar se bade maan ke sath kahate he "Tulsi hamare gaav ki". Aur ab to Tulsi ko bhi is baat se badi khushi milti he vo ab pareshan nahi hoti thi.

Dekha Tulsi ne sachhi me sabhi ki ashaao ko jine ki nayi raah dikhaai he, sabhi ko sapne dekhne ki or use pura karne sachi mishaal di he. Sahi me Tulsi uske gaav ki hokar hi rahi. Sachhi me Tulsi ne uske gaav ka naam roshan kiya. Aaj sabhi ke dilo me Tulsi ke liye pyar aur bhi badh gaya aur isme sabhi ka pura sahyog tha isi vajah se ye tarakki us gaav ko mili is baat ki khushi bhi sab ko hui.

Is kahani ko padhne ke baad jo bhi vichaar aap ke man me aate he aap unhe hamare sath share kare. Aur aapko ye kahani kesi lagi vo bhi batana mat bhuliyega. hame intejaar rahega.. :)

No comments:

Post a Comment